KHud meri aankhon se ojhal meri hasti ho gai
aaina to saf hai taswir dhundli ho gai
sans leta hun to chubhti hain badan mein haDDiyan
ruh bhi shayad meri ab mujh se baghi ho gai
fash kar din main ne KHud andar ki be-tartibiyan
zindagi aaraishon mein aur nangi ho gai
pyar karti hain mere raston se kya kya bandishen
toD di zanjir to diwar unchi ho gai
meri jaanib aae pas-manzar se patthar be-shumar
rang-e-duniya dekh kar binai zaKHmi ho gai
paD gaya parda samaat par teri aawaz ka
ek aahaT kitne hangamon pe hawi ho gai
kar gaya hai mubtala-e-karb aur ek saneha
aur kuchh din zinda rahne ki talafi ho gai
KHwahishon ki aag bhi bhaDkaegi ab kya mujhe
rakh bhi meri 'muzaffar' ab to ThanDi ho gai
Ghazal
KHud meri aankhon se ojhal meri hasti ho gai
Muzaffar Warsi