اردو हिंदी
KHud masiha KHud hi qatil hain to wo bhi kya karen | Shaahi Shayari
KHud masiha KHud hi qatil hain to wo bhi kya karen

Ghazal

KHud masiha KHud hi qatil hain to wo bhi kya karen

Fani Badayuni

;

KHud masiha KHud hi qatil hain to wo bhi kya karen
zaKHm paida karen ya zaKHm-e-dil achchha karen

dil rahe aaluda-daman aur hum dekha karen
aaj ai ashk-e-nadamat aa tujhe dariya karen

jism-e-azadi mein phunki tu ne majburi ki ruh
KHair jo chaha kiya ab ye bata hum kya karen

KHun ke chhinTon se kuchh phulon ke KHake hi sahi
mausam-e-gul aa gaya zindan mein baiThe kya karen

ja-ba-ja taghiyi-e-haal-e-dil ke charche hain to hon
hum hue ruswa magar ab hum kise ruswa karen

han nahin shart-e-murawwat hasrat-e-tasir-e-dard
rahm aa hi jaega un se taqaza kya karen

shauq-e-nazzara salamat hai to dekha jaega
un ko parda hi agar manzur hai parda karen

zarf virana ba-qadr-e-himmat-e-wehshat nahin
lao har zarre mein paida wusat-e-sahra karen

marg-e-be-hangam 'fani' wajh-e-taskin ho chuki
zindagi se aap ghabraate hain ghabraya karen