KHud main zindan mein hun tirgi ke
harf dunga yunhi raushni ke
main ise kar-nama kahunga
koi pahchan le dukh kisi ke
KHud bhi main jal raha hun jala kar
taq-e-jaan mein charagh aagahi ke
mere asbab nam-o-numu kya
bas yahi bankpan sadgi ke
sab ghubar apni apni hawa mein
us gali ke hon ya is gali ke
maut ka dar khula kya ki mujh par
sare dar khul gae zindagi ke
ham-rahi to baja soch lije
raste saKHt hain rasti ke
Ghazal
KHud main zindan mein hun tirgi ke
Mahshar Badayuni