KHud main dhuni ramae baiThi hun
aaj KHud ko bhulae baiThi hun
jaane walon ka intizar nahin
apne raste mein aae baiThi hun
us ki aankhon mein hai tilism koi
apna chehra luTae baiThi hun
chand ko taish aa raha hai ki main
kyun nazar ko milae baiThi hun
phul khilte hain mujh mein sheron ke
ek misra samae baiThi hun
rahguzar ehtiram kar mera
main kisi ke bulae baiThi hun
har KHushi zard ho gai jaise
ek aziyyat bhulae baiThi hun
aaine par to hai bharosa mujhe
us se kyun munh chhupae baiThi hun
chubh rahi hai andheri raat mujhe
har sitara bujhae baiThi hun
Ghazal
KHud main dhuni ramae baiThi hun
Asima Tahir