KHud lafz pas-e-lafz kabhi dekh sake bhi
kaghaz ki ye diwar kisi tarah gire bhi
kis dard se raushan hai siyah-KHana-e-hasti
suraj nazar aata hai hamein raat gae bhi
wo hum ki ghurur-e-saf-e-ada-shikni the
aaKHir sar-e-bazar hue KHwar bike bhi
bahti hain rag o pai mein do-abe ki hawaen
ek aur samundar hai samundar se pare bhi
aKHlaq o sharafat ka andhera hai wo ghar mein
jalte nahin masum gunahon ke diye bhi
Ghazal
KHud lafz pas-e-lafz kabhi dekh sake bhi
Fuzail Jafri