KHud ko na ai bashar kabhi qismat pe chhoD tu
dariya ki tej dhaar ko himmat se moD tu
is zindagi ki rah mein dushwariyan bhi hain
rahbar ka hath chhoD na rishton ko toD tu
duniya ki har bulandi ko hai tera intizar
ehsas-e-na-rasai ki gardan maroD tu
mehnat ke dam pe kya nahin kar sakta aadmi
apne lahu ka aaKHiri qatra nichoD tu
jo kuchh hai tere pas wahi kaam aaega
barish ki aas mein kabhi maTki na phoD tu
man ki KHushi milegi tu ye nek kaam kar
TuTe hue dilon ko kisi tarah jaDe tu
do-gaz kafan hi ant mein sab ka nasib hai
ab chhoD bhi 'dinesh' ye daulat ki hoD tu
Ghazal
KHud ko na ai bashar kabhi qismat pe chhoD tu
Dinesh Kumar