اردو हिंदी
KHud ko kitni der manana paDta hai | Shaahi Shayari
KHud ko kitni der manana paDta hai

Ghazal

KHud ko kitni der manana paDta hai

Pratap Somvanshi

;

KHud ko kitni der manana paDta hai
lafzon ko jab rang lagana paDta hai

choTi tak pahunchi rahon se sikho bhi
kaise parwat kaT ke aana paDta hai

bachchon ki muskan bahut hi mahngi hai
do do paise rose bachana paDta hai

sach ka kapDa phul se halka hota hai
jhuT ka parwat lad ke jaana paDta hai

suraj ko gali dene ka fashion hai
chhanw ki KHatir peD lagana paDta hai

dil ka kya hai jo kah do sun leta hai
aankhon ko aksar samjhana paDta hai