KHud ko kisi ki rahguzar kis liye karen
tu ham-safar nahin to safar kis liye karen
jab tu ne hi nigah mein rakkha nahin hamein
ab aur kisi ki ruh mein ghar kis liye karen
kyun chhoD den na sham se pahle hi tera shahar
tujh se bichhaD ke raat basar kis liye karen
mansub-e-jaan ho aur koi paikar-e-jamal
kar sakte hain ye kaam magar kis liye karen
kis ke liye charagh jalaen tamam raat
'nasik' phir ehtimam-e-sahar kis liye karen
Ghazal
KHud ko kisi ki rahguzar kis liye karen
Athar Nasik