KHud ko KHud par hi jo ifsha kabhi karna paD jae
jaise jine ki bahut chah mein marna paD jae
aisa ek waqt jab aata hai to kya karte ho
dil jo karna nahin chahe wahi karna paD jae
ho to mahtab ke ham-raqs magar aisa na ho
daman-e-chashm sitaron hi se bharna paD jae
jis ko dekha na kabhi jis ki tamanna bhi na ki
panw usi shahr ke raste pe jo dharna paD jae
surat-e-ashk-e-nadamat hi sahi ai 'shahpar'
meri aankhon se kabhi us ko guzarna paD jae

Ghazal
KHud ko KHud par hi jo ifsha kabhi karna paD jae
Shehpar Rasool