KHud ko hujum-e-dahr mein khona paDa mujhe
jaise the log waisa hi hona paDa mujhe
dushman ko marte dekh ke logon ke samne
dil hans raha tha aankh se rona paDa mujhe
kuchh is qadar the phul zamin par khile hue
taron ko aasman mein bona paDa mujhe
aisi shikast thi ki kaTi ungliyon ke sath
kanTon ka ek haar pirona paDa mujhe
kari nahin tha war magar ek umr tak
aab-e-namak se zaKHm ko dhona paDa mujhe
aasan nahin hai likhna gham-e-dil ki wardat
apna qalam lahu mein Dubona paDa mujhe
itni tawil o sard shab-e-hijr thi 'nasim'
kitni hi bar jagna sona paDa mujhe
Ghazal
KHud ko hujum-e-dahr mein khona paDa mujhe
Iftikhar Naseem