KHud ko har roz imtihan mein rakh
baal o par kaT kar uDan mein rakh
sun ke dushman bhi dost ho jae
shahad se lafz bhi zaban mein rakh
ye to sach hai ki wo sitamgar hai
dar par aaya hai to aman mein rakh
marhale aur aane wale hain
tir apna abhi kaman mein rakh
waqt sab se baDa muhasib hai
baat itni meri dhyan mein rakh
tazkira ho tera zamane mein
aisa pahlu koi bayan mein rakh
tujh ko naslen KHuda na kah baiThen
apni taswir mat makan mein rakh
jis ki qismat hai beghari 'manzar'
un ko to apne saeban mein rakh
Ghazal
KHud ko har roz imtihan mein rakh
Umair Manzar