اردو हिंदी
KHud ko duniya mein jo raazi-ba-raza kahte hain | Shaahi Shayari
KHud ko duniya mein jo raazi-ba-raza kahte hain

Ghazal

KHud ko duniya mein jo raazi-ba-raza kahte hain

Zaib Usmania

;

KHud ko duniya mein jo raazi-ba-raza kahte hain
apni hasti se wo ek baat siwa kahte hain

maut aati hai to ek farz ada hota hai
in ko dhoka hai qaza ko jo qaza kahte hain

dard dil ko teri yak-guna muraat se hai
nukta-chin is ko bhi andaz-e-jafa kahte hain

haram o dair hue tark-e-amal se ruswa
dekhiye ahl-e-aqidat ise kya kahte hain

suraten hain ye do ehsas-e-darun ki ai 'zeb'
hashr mein jin ko saza aur jaza kahte hain