اردو हिंदी
KHud ko aasan kar rahi ho na | Shaahi Shayari
KHud ko aasan kar rahi ho na

Ghazal

KHud ko aasan kar rahi ho na

Kumar Vishwas

;

KHud ko aasan kar rahi ho na
hum pe ehsan kar rahi ho na

zindagi hasraton ki mayyat hai
phir bhi arman kar rahi ho na

nind sapne sukun ummiden
kitna nuqsan kar rahi ho na

hum ne samjha hai pyar par tum to
jaan pahchan kar rahi ho na