KHud kisi sath pe aane mein baDa waqt laga
apni pahchan banane mein baDa waqt laga
KHwahish-e-did ke izhaar mein bhi der lagi
un ko bhi parda uThane mein baDa waqt laga
ghar se hijrat pe nikal jaana tha lamhon ka amal
phir kahin basne basane mein baDa waqt laga
taziyat kijiye ab waqt-e-ayaadat to gaya
aap aae magar aane mein baDa waqt laga
barq ne phunk diya tha jise aanan-fanan
us nasheman ko banane mein baDa waqt laga
saat-e-aish ke arman ka natija malum
gham se daman ko chhuDane mein baDa waqt laga
kaise haalat ki daldal se nikalte ki 'waqar'
panw bhi hum ko jamane mein baDa waqt laga
Ghazal
KHud kisi sath pe aane mein baDa waqt laga
Waqar Manvi