KHud ki KHatir na zamane ke liye zinda hun
qarz miTTi ka chukane ke liye zinda hun
kis ko fursat jo meri baat sune zaKHm gine
KHak hun KHak uDane ke liye zinda hun
log jine ke gharaz-mand bahut hain lekin
main masiha ko bachane ke liye zinda hun
ruh aawara na bhaTke ye kisi ki KHatir
sare rishton ko bhulane ke liye zinda hun
KHwab TuTe hue ruThe hue lamhe wo 'qamar'
bojh kitne hi uThane ke liye zinda hun

Ghazal
KHud ki KHatir na zamane ke liye zinda hun
Qamar Iqbal