KHud hi mil baiThe ho ye kaisi shanasai hui
dasht mein pahunche na ghar chhoDa na ruswai hui
sans tak lene nahin deta tha aawazon ka shor
jab parinde uD gae sunsan tanhai hui
le chala hum ko bulandi ki taraf dariya ka KHauf
kya karenge hum pahaDon par agar kai hui
apni gahrai ki jaanib jhuk raha hai aasman
DhunDne nikli hai KHud ko aankh ghabrai hui
raat bhar duniya rahi hai tirgi ke sehr mein
subh ki pahli kiran aankhon mein binai hui
phir ghira hun halqa-e-yaran mein mujrim ki tarah
phir kahi hai dastan sau bar dohrai hui
hath phailaun to kis ki samt apna ruKH karun
aasman dushman zamin bandon se uktai hui
log galiyon mein nikal aae hain bachchon ki tarah
sar pe jab TuTe sitare bazm-arai hui
sae ki rangat faza ki raushni mein ghul gai
ab ke chehron par paDi hai dhup kajlai hui
aaKHir-e-kar apni aankhen phoD lin taswir ne
sari duniya jab un aankhon ki tamannai hui
aankh se haTte nahin guzri hui duniya ke rang
hum ne in lamhon ko hai zanjir pahnai hui
Ghazal
KHud hi mil baiThe ho ye kaisi shanasai hui
Shahzad Ahmad