KHud-farebi hai dagha-bazi hai ayyari hai
aaj ke daur mein jina bhi adakari hai
tum jo pardes se aao to yaqin aa jae
ab ke barsat ye sunte hain baDi pyari hai
mere aangan mein to kanTe bhi hare ho na sake
us ki chhat pe to mahakti hui phulwari hai
chuDiyan kanch ki qatil na kahin ban jaen
sehr-angez buri un ki gulu-kari hai
kash bijli koi chamke koi baadal barse
aaj ki sham zaminon pe bahut bhaari hai
kha gai garmi-e-jazbaat ko rasmon ki hawa
aaj har shaKHs faqat barf ki almari hai
main bhi radha se koi kam to nahin hun 'shabnam'
sanwle rang ka mera bhi to girdhaari hai

Ghazal
KHud-farebi hai dagha-bazi hai ayyari hai
Rafia Shabnam Abidi