KHud-baKHud aalam-e-dil zer-o-zabar hota hai
nichi nazron mein qayamat ka asar hota hai
did kya chiz hai jalwon mein nazar kho jaana
warna jalwa kahin paband-e-nazar hota hai
ahl-e-himmat ke qadam is se alag uThte hain
ruKH zamane ki hawaon ka jidhar hota hai
teri duniya mein kahin par bhi karun main sajda
tera jalwa to mere pesh-e-nazar hota hai
shart hai dard mein Duba hua afsana ho
dil to kya chiz hai patthar pe asar hota hai
jab uThata hun qadam rah-e-adab mein 'shaarib'
mere hamrah mera zauq-e-nazar hota hai
Ghazal
KHud-baKHud aalam-e-dil zer-o-zabar hota hai
Sharib Lakhnavi