اردو हिंदी
KHud-ba-KHud mai hai ki shishe mein bhari aawe hai | Shaahi Shayari
KHud-ba-KHud mai hai ki shishe mein bhari aawe hai

Ghazal

KHud-ba-KHud mai hai ki shishe mein bhari aawe hai

Jaan Nisar Akhtar

;

KHud-ba-KHud mai hai ki shishe mein bhari aawe hai
kis bala ki tumhein jadu-nazari aawe hai

dil mein dar aawe hai har subh koi yaad aise
jun dabe-panw nasim-e-sahari aawe hai

aur bhi zaKHm hue jate hain gahre dil ke
hum to samjhe the tumhein chaaragari aawe hai

ek qatra bhi lahu jab na rahe sine mein
tab kahin ishq mein kuchh be-jigari aawe hai

chaak-e-daman-o-gireban ke bhi aadab hain kuchh
har diwane ko kahan jama-dari aawe hai

shajar-e-ishq to mange hai lahu ke aansu
tab kahin ja ke koi shaKH hari aawe hai

tu kabhi rag kabhi rang kabhi KHushbu hai
kaisi kaisi na tujhe ishwa-gari aawe hai

aap-apne ko bhulana koi aasan nahin
baDi mushkil se miyan be-KHabari aawe hai

ai mere shahr-e-nigaran tera kya haal hua
chappe chappe pe mere aankh bhari aawe hai

sahibo husn ki pahchan koi khel nahin
dil lahu ho to kahin dida-wari aawe hai