KHud apni zat ki tashhir ku-ba-ku kiye jaen
KHuda mile na mile us ki justuju kiye jaen
ajib jari hua ab ke hukm-e-hakim-e-shahr
asir sare taraf-dar-e-rang-o-bu kiye jaen
hamein pasand nahin zarf-e-mai mein qatra-e-mai
hamare samne KHali KHum-o-subu kiye jaen
jahan bhi aaen nazar chaak chaak daman-e-dil
wo tar pairahan-e-ishq se rafu kiye jaen
kuchh ab ke aise paDa saya-e-tunuk-zarfi
samundaron ko bhi hum log aabju kiye jaen
KHizan ne jin ke muqaddar mein zardiyan likh din
hum un gulab-ruton ko bhi surKH-ru kiye jaen
janab-e-'mohsin'-e-ehsan se iltija hai ki wo
pahunch gae hain sar-e-ab to wuzu kiye jaen
Ghazal
KHud apni zat ki tashhir ku-ba-ku kiye jaen
Mohsin Ehsan