KHud apni yaad dila ke rula diya hai mujhe
wo ek shaKHs ki jis ne bhula diya hai mujhe
tere karam ka saza-war main raha jab tak
gham-e-hayat ne bhi rasta diya hai mujhe
hawa-e-shauq ne teri talash mein aksar
misal-e-barg-e-shikasta uDa diya hai mujhe
zara si aankh lagi thi jo apni aaKHir-e-shab
hawa-e-subh ne aa kar jaga diya hai mujhe
chaman mein tu raha jab tak gulab ki surat
nasim-e-subh ne tera pata diya hai mujhe
ye apna apna muqaddar hai is ko kya kahiye
tujhe sarab to dariya bana diya hai mujhe
ba-rang-e-shisha tha pahle ab ek patthar hun
nazar se apni jo tu ne gira diya hai mujhe
KHayal-o-KHwab ki baaten KHayal-o-KHwab huin
shuur-e-zist ne jina sikha diya hai mujhe
Ghazal
KHud apni yaad dila ke rula diya hai mujhe
Athar Nadir