KHud apni soch ke panchhi na apne bas mein rahe
khuli faza ki tamanna thi aur qafas mein rahe
bichhaD ke mujh se azab un pe bhi bahut guzre
wo mutmain na kisi pal kisi baras mein rahe
main ek umr se un ko talash karta hun
kuchh aise lamhe the jo apni dastaras mein rahe
lahu ka zaiqa kaDwa sa lag raha hai mujhe
main chahta hun ki kuchh to miThas ras mein rahe
kisi ka qurb mere dil ki raushni Thahre
kisi ke aane se KHushbu mere nafas mein rahe
suna hai us ki guzarti hai taza phulon mein
'zaman' jis ke liye shahr KHar-o-KHas mein rahe
Ghazal
KHud apni soch ke panchhi na apne bas mein rahe
Zaman Kanjahi