KHud apni chaal se na-ashna rahe hai koi
KHirad ke shahr mein yun lapata rahe hai koi
chala to TuT gaya phail hi gaya goya
pahaD ban ke kahan tak khaDa rahe hai koi
na harf-e-nafi na chaak-e-sabaat-e-darman hai
har ek fareb ke andar chhupa rahe hai koi
khaDi hain chaaron taraf apni be-gunah sansen
sada-e-dard ke andar ghira rahe hai koi
gurez aankhen liye ja rahe ho kamre mein
junun ki ruh se kab tak bacha rahe hai koi
qadam hai jazb ki sahra hai rahguzar, qatre
huruf-e-dil ki tarah Dalta rahe hai koi
jo KHushbuon ke thapeDe badan se Takraen
to 'aslam' aise mein kab tak khaDa rahe hai koi
Ghazal
KHud apni chaal se na-ashna rahe hai koi
Aslam Emadi