اردو हिंदी
KHud apni aag mein sare charagh jalte hain | Shaahi Shayari
KHud apni aag mein sare charagh jalte hain

Ghazal

KHud apni aag mein sare charagh jalte hain

Dilawar Ali Aazar

;

KHud apni aag mein sare charagh jalte hain
ye kis hawa se hamare charagh jalte hain

jahan utarta hai wo mahtab pani mein
wahin kinare kinare charagh jalte hain

tamam raushni suraj se mustaar nahin
kahin kahin to hamare charagh jalte hain

tumhaara aks hai ya aaftab ka partaw
ye KHal-o-KHad hain ki pyare charagh jalte hain

ajib raat utari gai mohabbat par
hamari aankhen tumhaare charagh jalte hain

meri nigah se raushan nigar-KHana-e-husn
mere lahu ke sahaare charagh jalte hain

na jaane kaun si manzil hai muntazir 'azar'
ki rahguzar mein sitare charagh jalte hain