KHud apne zaKHm sina aa gaya hai
bil-aKHir mujh ko jina aa gaya hai
munafiq ho gae hain honT mere
mere dil ko bhi kina aa gaya hai
baha kar le gaya tufan jawani
lab-e-sahil safina aa gaya hai
kisi dukh par bhi aankhen nam na pa kar
masaib ko pasina aa gaya hai
baDi ustad hai ye zindagi bhi
lo mujh ko zahr pina aa gaya hai
laga kar zaKHm KHud marham bhi dega
use itna qarina aa gaya hai
hare hone chale hain zaKHm sare
ki sawan ka mahina aa gaya hai
Ghazal
KHud apne zaKHm sina aa gaya hai
Farhat Shahzad

