KHud apne sath dhoka kyun karun main 
kisi sae ka pichha kyun karun main 
use main bhul jaana chahta hun 
magar KHud par bharosa kyun karun main 
kabhi sochun ki KHud mein lauT aaun 
kabhi sochun ki aisa kyun karun main
        Ghazal
KHud apne sath dhoka kyun karun main
Ain Irfan

