KHud apne qatl ka ilzam Dho raha hun abhi
main apni lash pe sar rakh ke ro raha hun abhi
usi pe fasl khaDi hogi ek sadaon ki
main jis zamin pe KHamoshi bo raha hun abhi
sab apni apni fasilen haTa len raste se
main apni rah ki diwar ho raha hun abhi
kaho ki dasht abhi thoDa intizar kare
main apne paon nadi mein bhigo raha hun abhi
main tujh ko phenk bhi sakta tha zindagi lekin
kisi umid pe ye bojh Dho raha hun abhi
bahut si aankhen meri rah dekhti hongi
main ek KHwab hun tabir ho raha hun abhi
Ghazal
KHud apne qatl ka ilzam Dho raha hun abhi
Mirza Athar Zia