KHud apne jurm ka mujrim ko e'tiraf na tha
magar ye jazba ba-nam-e-junun muaf na tha
pighal to sakta hai loha nigah-e-azm to ho
ye pahle qaid ki diwar mein shigaf na tha
hasad ki gard thin bughz aur nafrat ki
mere wajud pe aisa koi ghilaf na tha
ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se
kisi ko yun to koi mujh se iKHtilaf na tha
tere jamal se mahfil mein ab sukun sa hai
wagarna zehn kisi ka kisi se saf na tha
mera nasib ki kashti kinare lag na saki
hawa ka jhonka to waise mere KHilaf na tha
jadid lahja ye andaz kis liye 'bekal'
tujhe to husn-e-riwayat se inhiraf na tha
Ghazal
KHud apne jurm ka mujrim ko etiraf na tha
Bekal Utsahi