KHud apne aks ko hairat se dekhta hun main
kanar-e-ab baDi der se khaDa hun main
swang bharta phirun kab talak mohabbat ke
main kyun na saf hi kah dun ki bewafa hun main
suna na qisse mujhe damanon ki ismat ke
ki tere shahr ke logon ko jaanta hun main
wo kaun hai jo mere sath sath chalta hai
ye dekhne ko kai bar ruk gaya hun main
main aaj dekh sakunga tulua ka manzar
ki raat bit chali aur jagta hun main
sitam hai tu bhi mujhe KHud-gharaz samajhta hai
ki tere haq mein to KHud se bhi laD raha hun main
wo ji rahe hain ki jo soch se hue aari
main mar raha hun ki 'betab' sochta hun main
Ghazal
KHud apne aks ko hairat se dekhta hun main
Saleem Betab