KHud apna haal dil-e-mubtala se kuchh na kaha
dua se hath uThae KHuda se kuchh na kaha
kise sunaun ki na-saz hai junun ka mizaj
KHud apne shahr ki aab-o-hawa se kuchh na kaha
ye kis se ishq hua kyun hua tajjub hai
wo KHauf hai ki kisi aashna se kuchh na kaha
ye hosh hai ki guzar jaegi phuwar ki rut
magar ye zoam ki udi ghaTa se kuchh na kaha
tere KHiram ko dekha ba-chashm-e-hasrat-o-yas
tamam umr tere naqsh-e-pa se kuchh na kaha
khule to kaise khule raaz-e-unfuwan-e-shabab
haya ne kya tere band-e-qaba se kuchh na kaha
wo kya ada thi ki lahloT ho gae tum 'shaz'
ghazab kiya usi jaan-e-ada se kuchh na kaha
Ghazal
KHud apna haal dil-e-mubtala se kuchh na kaha
Shaz Tamkanat