KHud apna eatibar ganwata raha hun main
zarre ko aaftab batata raha hun main
andhi hawa ko dun koi ilzam kis liye
apne diye ko aap bujhata raha hun main
ek umr ke riyaz ka hasil na puchhiye
reg-e-rawan pe naqsh banata raha hun main
har chand maslahat ka taqaza kuchh aur tha
aaina har kisi ko dikhata raha hun main
bachchon ke hanste-khelte chehron ki oT mein
apne dukhon ki Tis chhupata raha hun main
ye aur baat KHud mere panw na uTh sake
auron ko rasta to dikhata raha hun main
'saifi' fishaar-e-gham ki tamazat ke bawajud
hairat hai apni baat nibhata rahun main
Ghazal
KHud apna eatibar ganwata raha hun main
Bashir Saifi