KHud aazma ke bhi dawe ajal ke dekhte hain
dayar-e-shauq mein ek bar chal ke dekhte hain
pighalti hai ki nahin barf-e-na-shanasai
kisi ki garam-nigahi se jal ke dekhte hain
ye dasht-e-hu sar-e-gulshan kahan se aa nikla
ye moajiza hai to ghar se nikal ke dekhte hain
jinhen mili hi nahin chashm-o-dil ki binai
tamashe wo bhi KHumar-e-azal ke dekhte hain
usi ke zikr se mahfil mein phul khilte the
wo aa gaya hai to sab aankh mal ke dekhte hain
kisi ko aaj ke haalat par qarar nahin
hamare shahr mein sab KHwab kal ke dekhte hain
abhi to lams-e-badan ka hisab baqi hai
talluqat ke pahlu badal ke dekhte hain
na koi nara-e-tahsin-numa na dad-e-suKHan
ki sunne wale bhi tewar ghazal ke dekhte hain
na jaane kab sar-e-aina KHauf likh jae
hum apna chehra bhi 'nami' sambhal ke dekhte hain

Ghazal
KHud aazma ke bhi dawe ajal ke dekhte hain
Nami Ansari