اردو हिंदी
Khoya kya paya kya hisab na kar | Shaahi Shayari
khoya kya paya kya hisab na kar

Ghazal

Khoya kya paya kya hisab na kar

Karan Singh Karan

;

khoya kya paya kya hisab na kar
to abas waqt ko KHarab na kar

chhoD hargiz na rah-e-haq-goi
apni manzil ko yun KHarab na kar

saf rakh apna daman-e-kirdar
tu use ashkon se pur-ab na kar

gham na kar dusron pe kya guzre
tu kabhi haq se ijtinab na kar

gham bhi hain zindagi ka ek hissa
dusron ko tu intisab na kar

jo faraez hain bhul jaen 'karan'
is qadar KHud ko mahw-e-KHwab na kar