khoya hua tha hasil hone wala hun
main kaghaz par nazil hone wala hun
chhoD aaya hun pichhe sab aawazon ko
KHamoshi mein daKHil hone wala hun
KHud hi apna rasta dekh raha hun main
KHud hi apni manzil hone wala hun
mujh ko sharik-e-mahfil bhi kab samjhen wo
main jo jaan-e-mahfil hone wala hun
jaane kya kah jaega Dar lagta hai
aaine ke muqabil hone wala hun
ruh sulagti aur pighalti jati hai
ek badan mein shamil hone wala hun
aaKHir kab tak apne naz uThaun 'shaz'
aaj apna hi qatil hone wala hun
Ghazal
Khoya hua tha hasil hone wala hun
Zakariya Shaz