khoya hua sa rahta hun aksar main ishq mein
ya yun kaho ki hosh mein aane laga hun main
ye ibtida-e-shauq ki haalat na ho kahin
mahfil mein us se aankh churane laga hun main
ab kyun gila rahega mujhe hijr-e-yar ka
be-tabiyon se lutf uThane laga hun main

Ghazal
Khoya hua sa rahta hun aksar main ishq mein
Hadi Machlishahri