kholi jo Tuk ai ham-nashin us dil-ruba ki zulf kal
kya kya jatae KHam ke KHam kya kya dikhae bal ke bal
aata jo bahar ghar se wo hoti hamein kya kya KHushi
gar dekh lete hum use phir ek dam ya ek pal
din ko to bim-e-fitna hai hum us se mil sakte nahin
aata hai jis dam KHwab mein jab dekhte hain be-KHalal
kya bebasi ki baat hai yaro 'nazir' ab kya kare
wo aane wan deta nahin aati nahin yan ji mein kal
Ghazal
Kholi jo Tuk ai ham-nashin us dil-ruba ki zulf kal
Nazeer Akbarabadi