اردو हिंदी
Khol kar baat ka bharam donon | Shaahi Shayari
khol kar baat ka bharam donon

Ghazal

Khol kar baat ka bharam donon

Sajjad Baluch

;

khol kar baat ka bharam donon
kam-suKHan ho gae hain hum donon

ho gae ab juda to kya kahiye
the KHata-kar besh-o-kam donon

jab milenge to bhul jaenge
jo abhi sochte hain hum donon

dafatan samna hua apna
ji uThe jaise ek dam donon

hijrat-o-hijr se bachae KHuda
mujh ko lahaq hain aaj gham donon

ab yahi ek rah bachti hai
bas yahin rok len qadam donon

mujh pe guzra hai waqt-e-hijr-o-visal
dil ne dekhe hain zer-o-bam donon

jab nimaT jaenge ye hangame
phir se ho jaenge baham donon