khol kar baat ka bharam donon
kam-suKHan ho gae hain hum donon
ho gae ab juda to kya kahiye
the KHata-kar besh-o-kam donon
jab milenge to bhul jaenge
jo abhi sochte hain hum donon
dafatan samna hua apna
ji uThe jaise ek dam donon
hijrat o hijr se bachae KHuda
mujh ko lahaq hain aaj gham donon
ab yahi ek rah bachti hai
bas yahin rok len qadam donon
mujh pe guzra hai waqt-e-hijr-o-visal
dil ne dekhe hain zer-o-bam donon
jab nimaT jaenge ye hangame
phir se ho jaenge baham donon
Ghazal
Khol kar baat ka bharam donon
Sajjad Baluch