khoe hue sahra tak ai baad-e-saba jaana
wo KHak-e-junun meri aaankhon se laga jaana
ab tak koi chingari rah rah ke chamakti hai
ai qafila-e-farda ye rakh uDa jaana
hai dasht-e-tamanna mein ab sham ka sannaTa
han tez qadam rakhte ai ahl-e-wafa jaana
hum nind ki chadar mein lipTe hue chalte hain
is bhes mein ab hum se milna ho to aa jaana
aafaq ki sarhad par sae se gurezan hain
in soKHta-jaanon ko us par na tha jaana
tum dur safar kar ke nazdik se lagte ho
ab pas bahut aa ke hum ko na jaga jaana
kya us se shikayat ho jis shoKH ki aadat ho
kuchh baat daba lena kuchh aankh chura jaana
hum zikr-e-gul-o-bulbul karte hue Darte hain
ab sikh gaya hai wo har baat ka pa jaana
Ghazal
Khoe hue sahra tak ai baad-e-saba jaana
Varis Kirmani