اردو हिंदी
Khoe gae to aaine ko moatabar kiya | Shaahi Shayari
khoe gae to aaine ko moatabar kiya

Ghazal

Khoe gae to aaine ko moatabar kiya

Iqbal Haider

;

khoe gae to aaine ko mo'atabar kiya
hum ne teri talash mein apna safar kiya

be-ghar musafiron ke muqaddar mein KHak hai
so hum ne gard-e-rah ko diwar-o-dar kiya

us markaz-e-jamal ke hum bhi asir hain
jis markaz-e-jamal ne har dil mein ghar kiya

shahr-e-wafa KHamosh hai patthar bane baghair
kaisa fareb-e-koh-e-nida ne asar kiya

bazu sameTte hain daraKHton pe kuchh tuyur
shayad kisi ne tazkira-e-baal-o-par kiya

yaadon ki bhiD mein bhi hai tanhai ham-safar
us ki ho KHair jis ne hamein dar-ba-dar kiya