kho na jae kahin har KHwab sadaon ki tarah
zindagi mahw-e-tajassus hai hawaon ki tarah
TuT jae na kahin shisha-e-paiman-e-wafa
waqt be-rahm hai patthar ke KHudaon ki tarah
hum se bhi puchho sulagte hue mausam ki kasak
hum bhi har dasht pe barse hain ghaTaon ki tarah
barha ye hua ja kar tere darwaze tak
hum palaT aae hain nakaam duaon ki tarah
kabhi mail-ba-rifaqat kabhi mail-ba-gurez
zindagi hum se mili teri adaon ki tarah

Ghazal
Kho na jae kahin har KHwab sadaon ki tarah
Mumtaz Rashid