kho kar teri gali mein dil-e-be-KHabar ko main
fikr-e-KHudi se chhuT gaya umr bhar ko main
sazish ba-qadr-e-rabt thi tur o jamal mein
samjha hun aaj uqda-e-sang-e-sharar ko main
ab hai to mustaqil ho farogh-e-shab-e-visal
aisa na ho charagh jalaun sahar ko main
sahra se bar bar watan kaun jaega
kyun ai junun yahin na uTha laun ghar ko main
jhuma kya surur se 'simab' raat bhar
dekha kiya kisi ki nashili nazar ko main
Ghazal
Kho kar teri gali mein dil-e-be-KHabar ko main
Seemab Akbarabadi