kho diye hain chand kitne ek sitara mang kar
mutmain hain kis qadar phir bhi KHasara mang kar
mauj ke hamrah tha to sara dariya sath tha
ho gaya gharqab lahron se kinara mang kar
rakh mein ab DhunDhta hun main dar-o-diwar ko
ghar diya hai aag ko main ne sharara mang kar
teri marzi ho to bhar kashkol-e-dil KHali mera
main nahin lunga tujhe tujh se dobara mang kar
apne panw par chalunga main apahij to nahin
raste kaTte nahin hain yun sahaara mang kar
KHwab ki miTTi ko gundhunga lahu se main 'figar'
ghar banana hi nahin dharti se gara mang kar

Ghazal
Kho diye hain chand kitne ek sitara mang kar
Saleem Figar