kho baiThi hai sare KHad-o-KHal apni ye duniya
ab to hai faqat ek dhamal apni ye duniya
sadiyon ki sitam-dida gham-o-ranj se mamur
kis darja hai zaKHmon se niDhaal apni ye duniya
zor-awari-e-zulm hai is darja ki qatil
kahte hain ki hai un ka manal apni ye duniya
kab tak ye tera husn-e-taghaful hai KHuda-ya
ek laib hai bar-dast-e-majal apni ye duniya
KHun-rezi-e-adam ka ye aalam hai ki ab to
lagti hai bas ek gah-e-qital apni ye duniya
kyun KHun-e-bashar KHun-e-tamanna hai har ek samt
kyun KHun se hui jati hai lal apni ye duniya
hai KHar ki manind meri ruh mein paiwast
ye nish-e-gham-o-dard KHayal apni ye duniya
manind-e-salib is ko liye phirta hun din raat
kandhon pe uThae ye wabaal apni ye duniya
ab mujh se sambhalti nahin ye dard ki saughat
le tujh ko mubarak ho sambhaal apni ye duniya
Ghazal
Kho baiThi hai sare KHad-o-Khaal apni ye duniya
Farhan Salim