اردو हिंदी
KHizr-e-manzil na tha ibn-e-mariyam na tha | Shaahi Shayari
KHizr-e-manzil na tha ibn-e-mariyam na tha

Ghazal

KHizr-e-manzil na tha ibn-e-mariyam na tha

Manzoor Husain shor

;

KHizr-e-manzil na tha ibn-e-mariyam na tha
gham jahan tha koi shamil-e-gham na tha

dil ko apni tabahi ka kuchh gham na tha
us ki aankhon ka irshad mubham na tha

is se pahle bhi sau bar dhaDka tha dil
dil dhaDakne ka lekin ye aalam na tha

kab falak par sitare farozan na the
kab zamin par sitaron ka matam na tha

jam-e-jam mein jo sadiyon sulagta raha
aur kya tha agar KHun-e-adam na tha

us ne puchha na tha 'shor' jab tak mizaj
aankh nam nam na thi dard kam kam na tha