اردو हिंदी
KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai | Shaahi Shayari
KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai

Ghazal

KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai

Mirza Azfari

;

KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai
saba bhi chal ke wan ai bulbulo phulon ko jhaD aai

shab-e-bimar ya kali bala ya raat kali hai
qayamat aai ya chhati pe ye hijran pahaD aai

jo aaya yar to tu ho chala ghash ai diwane dil
isi dam tujh ko marna tha bata kya tujh ko dhaD aai

masal hai bar-mahal ai 'azfari' jo ki gaya koi
hamari bar ko gul chhaD gae kanTon ki baD aai