KHizan ne sataya na KHaron ne luTa
gulon ne diye dukh bahaaron ne luTa
falahi riyasat ka naqsha dikha kar
gharibon ko sarmaya-karon ne luTa
jo islam ke nam par chal rahe the
maza un siyasi idaron ne luTa
kaDe waqt par kaam aana tha jin ko
watan ko unhin jaan-nisaron ne lauTa
tujhe qazi-e-shahr kaise bataun
mera ghar mere pahra-daron ne luTa
ba-zahir the rahbar pas-e-parda rahzan
qayaadat ko ummid-waron ne luTa
jo imdad tufan ke maron ko aai
use KHub taqsim-karon ne luTa
kabhi sochti hun ki qaumi KHazana
wazahat-talab goshwaron ne luTa
haqiqat to ye hai ki mere watan ko
watan dost taKHrib-karon ne luTa
talatum mein pahle hi jo luT chuke the
ai 'rumi' unhen phir kinaron ne luTa
Ghazal
KHizan ne sataya na Khaaron ne luTa
Rumana Rumi