KHizan mili abhi tak kahin bahaar mile
safar mein pyar ka mausam to ba-waqar mile
main aise dar ka gada hun jahan pe moti kya
hazar bar mujhe sang aab-dar mile
KHushi ka nur to ik-bargi mila hai tumhein
hamein to gham ke andhere bhi qist-war mile
teri chamak ka taqaza nahin zarurat hai
tere KHamir mein thoDa sa inkisar mile
ye aarzu hai ki ab raushni ke qisse hain
mere charagh ko suraj ka eatibar mile
main KHush-nasib bahut hun ki mujh ko duniya mein
qadam qadam pe mohabbat ke shahkar mile
main aasmanon zaminon ki had mila dunga
jo chaar-roz ka sach-much mein iKHtiyar mile
Ghazal
KHizan mili abhi tak kahin bahaar mile
Anjum Barabankvi