اردو हिंदी
KHizan mein sukh gaya main to ye muqaddar tha | Shaahi Shayari
KHizan mein sukh gaya main to ye muqaddar tha

Ghazal

KHizan mein sukh gaya main to ye muqaddar tha

Mubarak Shamim

;

KHizan mein sukh gaya main to ye muqaddar tha
wo naunihaal kahan hai jo mere andar tha

wo aable jo rah-e-arzu mein phuT gae
safar ka lutf unhin aablon mein muzmar tha

nuqush-e-dard tarashe ghamon ke rang bhare
main jaise dast-e-mashiyyat mein koi patthar tha

tumhaari yaad ke sae bhi kuchh simaT se gae
ghamon ki dhup to bahar thi aks andar tha

mera wajud bhi tariKH hai zamane ki
mujhe bhi paDh ke kabhi dekhte to behtar tha

dayar-e-fikr-o-nazar kuchh dhuan dhuan sa hai
junun ki shamen thin raushan to KHub manzar tha

wahi hai aaj zamin par KHarab-o-KHasta-o-KHwar
jo apni shan mein nuraniyon se behtar tha

'shamim' aaj sar-e-rahguzar-e-zist mila
jo tah-ba-tah ghane zaKHmon ka ek paikar tha