KHizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai
bahaar aane ki surat nikal bhi sakti hai
jala ke shama ab uTh uTh ke dekhna chhoDo
wo zimmedari se az-KHud pighal bhi sakti hai
hai shart subh ke raste se ho ke sham aae
to raat us ko sahar mein badal bhi sakti hai
zara sambhal ke jalana aqidaton ke charagh
bhaDak na jaen ki masnad ye jal bhi sakti hai
abhi to chaak pe jari hai raqs miTTi ka
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai
ye aaftab se kah do ki fasla rakkhe
tapish se barf ki diwar gal bhi sakti hai
tere na aane ki tashrih kuchh zaruri nahin
ki tere aate hi duniya badal bhi sakti hai
koi zaruri nahin wo hi dil ko shad kare
'alina' aap tabiat bahal bhi sakti hai
Ghazal
KHizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai
Aleena Itrat